Tere Isharon ka bann gaya, main jaise gulam
Teri ankahee baaton, ka deewana jaise
le kalam apne hi khwabon mein likhun,
tera naam jo baar baar.
Apne aap se main kahoon
ke maan ja haar,
kyunki uske pyaar mein,
main na karoon
apna bhi koi kaam
Tere Isharon ka bann gaya main jaise gulam.
Jaise pathar par lakeer,
jo na le mitt ne ka naam.
Tu woh subah hai,
jisse kirnne bhi jalti.
Teri aakhon ki masti.
Lagta hai yeh jahaan beshumar,
jab bhi tu hasti.
Teri adaa, teri yaadein
sab mere dil mein hai basti.
Teri baatien kabhi na le,
mere mann se,
jaane ka naam.
Tere isharon ka bann gaya main jaise gulam
Jaise aasman mein sitare,
jinki chamak muhje pukare
Lekin inn aakhon, ko inki sundarta,
nahi dikhti bin tumhare.
Lagta hai, main ho raha hoon pagal.
Lekin inn baaton ko,
karta hoon main inkaar.
Tuhje sochta hoon raat bhar.
Apne aap se karne laga hoon pyaar.
Tere liye kardu,
mukkamal jahan,
bas yehi hai mera kaam.
Tere Isharon ka bann gaya main jaise gulam