Hum bhi agar panchi hote to aakash dekhte
Saari duniya so rahi hoti magar hum prakash dekhte
Mausam jo bhi hota, par apni chah me aksar
Hum apne pankh khol dete aur log humari udaan dekhte
Hum makan dekhte
Hum, makan dekhte
jinme kitni aankhe taras rahi hai udne ko
jahan in cheekhon ka naam nahi hai rukne ko
Ye sadke kyu veeraan nahi hai maloom hai ?
Yaha log hai dar dar bhatak rahe ghar mudne ko
Ye sab andekha karke hum aasmaan dekhte
Magar nazar pad jati to Ganga me Tairti laash dekhte
Wo laash jo kal tak sisak rahi thi, tadap rahi thi,
Dhadkan bhi rukne wali thi par dhadak rahi thi
Hum bageechon ko, maidaano ko veeran dekhte
Magar ruk jate jab jalta hua shamshaan dekhte
Hum bhi agar panchi hote to aakash dekhte
Prakaash me gehraai se dooba andhkaar dekhte
Zinda-dili ki khoj me hum roz nikalte lekin,
Hum roz hukumat ka marta hua imaan dekhte
Hum bhi agar panchi hote to aakash dekhte
Saari duniya so rahi hoti magar hum prakash dekhte