Jayesh Jain

July 1, 1999 - India
Send Message

Chai aur toast

Woh teri utni kadr karti hai
Jitni tu uski karta hai
har muskurahat ke liye uski
Tu ghanton kam karta hain


Bina kahayal kuch panne ke
Tu usse sacha apna manta hai
Woh kushkismat hai jo
Be fikr ho tujhe se aaj baat karti hai


Har ek koshish teri
Usse judi hoti hai
Chae tu usko kaam ka naam de
Kaam bhi aakhir tune Uske lie hi kra hai


Zaroorat nahi hai tujhko kisi aur ki
Yeh baat tu bhi acche se jaanta hai
bus vahi muskurahat toh hai
Jisspe tu apni jaan warta hai


Kuch aise charche hue the
Hum bhi bade gherai tak gaye the
Par sapne aur tere raste alag the
Ek ko fir thukrana pda


Dil aur dimag mera sirf tujh pr tha
Mgr Mann ki baat main jaldi se manta nhi
Toh
Jo bachpan se dekha tha
Uss sapne ka rasta pakad lia


Shuru uss dost ka kuchh aise hua
chalo thodi charcha karte Hain
hum Aaj thodi ruksai ki
Aur sapno ki
chai aur toast pe baten karte Hain


Tune jab baat ghumai
Shaq mujhe bhi hua tha
Jab har roz ki baaton mein
Chand aur taaron ka achanak se
Zikr kia tha


Paar uss samay raaste mere do the
Ek ko thukrana tha
Sapne jo aakhir bachpan se dekhe the
Woh saale apne lage the


Na chhate hue bhi andekha kra
Manta hun main, galat kia
Sapne dekhe the kuch jo mujhe bula rhe hain
Tere sapano mein main hun
Mere zhen se yeh khayal, rhe gya


Mere mann ko laga
Shayad Koi tukda uska rah Gaya
dur kahin kisi raste per
Shayad kisi ko bhul gaya


Uss adhure pan mein
Maine pakki buniyad kar
Neev rakhi
Lekin hamesha lagta rha
Ke iss buniyad mein ek einth rhe gayi


Logon se baat kam hoti
Kam fir bhi chal jata hai
Teri phir ek call aayi
Sab bikhr sa jata hai


Mere sawal mujhko hi khate Hain
Bhai bata de kaise sawal rakhne hain
Aur main abhi bhi uss gehrayi mein jawab dhundhta hun


Main aakhir kaun hun
Meri teri sachai ko kinare rakh
Mere sapnon mein
Woh bunyadi jawab dhundhta Hun


Meri nasamjhi per usko bhi Hansi a gayi
Woh Kheti hai ab agar kuchh Raha gaya ho
Toh sath mein pura kar len kya
Ek se bhale do
kya tumne kabhi Suna nahin?


Rukskhat si mujh ko khud se hogayi
Woh jo pass aake baith gayi
Chera mera jal utha
Uske bandan ki khushbu
Mere saare phool khila gayi


Kaisa hun mein pta hai
Kuch aisa jo shayad sabko bha jaun
Lekin hajam har kisio na ho paun
Yahi baat ussko leke mann mein aayi


Har parinde se yaari mein kar lun
Chaun toh ped ka roop dhar lunga
saamne aa bhi jaye woh toh
Kaunsa hi neeshana mar lunga


Mujh jaise pagal se aakhir kaun hi lafz badalta hai
Mujhe sambhal ne wala aasani se nhi milta hai


Lekin Aaj baat yahin khatm nahin Hui
Woh ruki
Mere sath
Bass baithi rahi
Aise hi


Jin sapnon pe mein Jinda tha
woh bachpan ke sapne sab Tut gaye
Is Dil ka kya pata kab kis per tut pade


Baat ko bhaut soch kar samjha maine
Kaha, ajao fir se dost bante Hain
Woh phir hans kar khe padi
Ruko chai aur toast lati hun mein


Aur ek manazar se phir
Meri khani shuru hui
....humare sapne shuru hue


Haan bta dun zara
Tute dilon pe
Jay kabhi likhta nhi
Yeh toh sapne tute the
So Likh diya.....
385 Total read