Mere har gunaah ko bhool kar, main jaisa hu kubool kar
bina naqaab posh ke. Bina kisi aagosh ke
mujhe kal vida kar paoge ?
Bolo, kya tum aaoge ?
Us doobte ujaale ka, us aakhri nivaale ka
jisme intezaar baki hai, jo akela hai, na-kaafi hai
us-se wo wada nibha paoge ?
Bolo kya tum aaoge ?
Is chhandd ka jawab dhoondta rha hu umar bhar
ye sochta raha hu ke sansaar kyu ye maun hai,
na zikr tha, na koi qaseeda darz mere naam par
bhoole ko na dilaya jaye yaad ke hum kon hai.
Zawaal me tum khud hi ho, shahgird apne bachaaw me
Neta bhi tum hi ho, aur ho janta bhi tum chunaaw me
ab tum hi ho, jo dooboge, ya naav ko bachaoge,
kalam uthao aur likho ke, han ab tum aaoge !