Thanshu Guliani

Tajurbe likhna agar kala hai to main kalakaar hu..
Send Message

Ek Vaartalaap / A conversation

Main raat hu andhera sa ye kon hai
jo maun hai
khamoshi se ghabraya sa
ye falsafa hai kya
ya koi fareb hai
jo kahi pe gum sa tha
Ya yahi tha, tum sa tha
Mu chipaye baitha hai
Katghara ye kaisa hai
jo aakh daage baitha hai
aagosh uska kehta hai
ke
Kyu ye maun hai, dekho kyu ye bolta nahi
ye kaise raaz hai half ke jo kholta nahi
jiski talaash hai, wo laash hai ya aadmi koi
hai kyu ye bhagta, Vajah bhi hai kya laazmi koi
Ye sab sawal hai jo puchne the sham ho gayi
Shikaari kaun tha shikaar hi aawam ho gyi
ke hum the baaghi
bagawaton me Saal ho gaye
Mila sukoon na
to laut ke nihaal ho gaye.
Ke ab ye raat hai
shuruwaat hai
ek tarz ka sukoon
Sannata ghor hai
phir bhor ko
kis baat ka junoon.
Ye jo vichaar hai
aadhar hai is waqt ke liye
kya koi baat hai
haalat hai..? jo vaqt ne kie..?
Ye sab hai qafiron ki mehfilein
yaha hum sab fanaa se hai
Ye shaqs thame hai khada
Malaal jo us gunah ke hai
Ke qurbaton se hausale ki baat thi jo reh gayi
Ruuhani thi us dasht me par aas jo thi reh gayi
shikayaton ke beech me do lavz the jo pyaar ke
wo bolne to the magar jo baat thi wo reh gayi.
Phir mud gaye us or se
aur band khudko kar lia
lifafe me padi zindagi thi
nibandh usko kar lia
phir roz us mashal se
apne ghar ka diya jalaya humne
Kitni tishnagi se Khuddari bech di
aur paani ko Rob dikhaya humne.
247 Total read