SUNITI SAW

April 04, 2007 - Jharkhand
Send Message

Aksh

Kaisi jindagi hai , sabke samne hothon pe hasi hai aankhon me chamak hai jindagi jeene ki chah hai
Aur andar se insaan pura tabah hai

Apna atit bhul na paye,zakhm mere wo puraane kabhi bhar na paaye
phir bhi sab kuch apne muskan me chupaye ye parinda udta jaye

Dil me ab wo pyaar nahi wo pehli jaisi pyaas ni,sab kuch kho chuki hun
bahar se puri andar se bas khokli bachi hun

Aankhon me laankhon armaan sajaye chalti ja ri hun
par wo dard wo aasun andar hi andar kahin chhupa rahi hun

ek baat khaye ja ri hai log aate hi kyun hai jab unhe jana hi hai
dil judte hi kyu hai jab unhe toot jana hi hai

Laankhon dard samete uth khadi hun
maa baap ke sapno ka bojh apne kandhon pe uthaye chal padi hun

manzil milegi ki ni ye janne ki khwahish rakhi hu
Par asal me toh manzil ki chah bhi ni bachi , kyunki apna sab kuch boht chhoti umar me kho chuki hun

aasuon ka hisab ni rehta aajkal kabhi bhi beh jaate hai
aankhe khol ke dekho toh bas aas paas kuch log hi reh jaate hai

iss umeed me saanse chal ri hai ek din toh dhalega udaasi ka ye suraj
wo baarish sab bheega kar sab badal degi mere saare zakhmo ko bhar degi

Tab tak himmat jutaye nidar khadi hun
AE zindagi aa azma le mujhko tu
sab chheena tumne mera
ab sab kuch wapas pana hai
itna kuch dekha hai ab itni jaldi ni haar jana hai ab itni jaldi ni haar jana hai

kal tak gumnaam thi ab har jagah maujood hun
sama liya hai khudko tujhme ab main tera hi wajood hun
128 Total read