Pratik Shaw

May 22,2002 - Kolkata, India
Send Message

Kitarp aur Devdas

Har raat taaro ki chahat me soo jaya karte hai,
Wo 'Kitarp' aur hum 'Devdas' kehlaya karte hai,

Man tatol kar dekha to pata chala,
Wo humari naadani ka fitoor tha,
Shayar to hum unki ishq me bane,
Zameen chodo aasmaan ko bhi un par noor tha,

Kabhi kabhi khud ko sehla liya karte hai,
Dheere dheere iss dil ko behla liya karte hai,

Par ye jo Dil hai na,
Ye aasani se behalta nahi hai,
Ruth jaata hai,
Phir tujhe yaad karte hue khamoshi se toot jaata hai,

Jis din maine muainaa kiya,
Pata chala ki pura sheher tera deewana hai,
Saath bitaane wale to anek hai,
Bas hum hi ko aapka saath nibhana hai,

Jab aandhiyaan aayi aur wo humse ruth gaye,
Maano laga ki zindagi haath chod rahi hai,
Abhi tak unhe dekhne se pulse rate badhte the,
Ab to na dekhne se maut haath pakad rahi hai,

Har raat taaro ki chahat me soo jaya karte hai,
Wo 'Kitarp' aur hum 'Devdas' kehlaya karte hai,

Unhe apne Dil me mehfoos rakhkar hum kahi kho gaye,
Har din unhi ke khwaab dekh kar,
Ret ki chadar me apne aap ko dhak kar so gaye,

Ye jo mera aur unka silsila hai,
Thodi der se aayega,
Lekin ek baar aa gaya,
To kabhi wapas nahi jayega,

Na hi hum iss silsile ko jane denge,
Aapke liye jo mehsoos karte hai kaise bataye,
Aise hi thodi na,
Kisi ko humare beech aane denge,

Par jab bhi sachai chehre ke samne aayi,
Dil jaara sa toot jaata hai,
Dhadkega to tere liye hi,
Ye dil tumhari chahat me humse bhi ruth jaata hai,

Bas tumhara saath mil jaye,
Saara jahaan muqamal ho jayega,
Aur phir ye zaamana hume,
Kitarp aur Devdas kehta chala jayega..
438 Total read