Mujhe yaad hai ab bhi teri phoolti saansen
Jab chalti thi milon mujhe godi uthaye,
Mujh par kar diye kharch wo paise
Badi mushkil se the jo tune bachaye.
Ek niwala jo bana tha ghar me
Humko aadha aadha khila dia,
Bhookhi hi so jati thi kehkar
Ki maine toh pehle kha lia.
Bas tu hi hai uttar mera maa
Jab bhi kashton ka sawal aaya,
Beh gya har katra tera maa
Naa khud ka kabhi khayal aaya.
Ye jahan mera kuch bhi nahin hai
Tu hi hai jo bhi hai maa,
Mushkilen saari tal jaati hain
Kya jadu hai teri godi me maa?
Tu hi hai bhavsagar mera
Tujh sang dhaaron sa bahun,
Agle saaton janmon me bhi
Bas tera hi beta rahun.