Rooh bakhshi hai kam tujh lab ka
Dam e isa hai nam tujh lab ka
Husn ke khizr ne kiya labraiz
Ab e haiwan son jam tujh lab ka
Mantaq o hikmat o mani par
Mushtmil hai kalam tujh lab ka
Rag e yaqoot ke qalam son likhain
Khat parastan payam tujh lab ka
Sabza o barg o lala rakhte hain
Shoq dil may dawam tujh lab ka
Gurq e shukar hue hain kam o zaban
Jab liya hoon main naam tujh lab ka
Hai quot;Wali quot; ki zaban kon lazzat bakhsh
Zikr har subh o sham tujh lab ka