Wali Mohammed Wali

1667 - 1707 / Aurangabad / India (Mughal Epire)

Dil Ko Lagti Hai Dilruba Ki Adaa

Dil ko lagti hai dilruba ki adaa
Ji may basti hai khush ada ki adaa
Garche sab khoobroo hain khoob wale
Qatl karti hai miraza ki adaa
Harf e baija baja hai gar boloon
Dushman e hosh hai piya ki adaa
Naqsh e deewar kyun na ho ashiq
Hairat afza hai bewafa ki adaa
Gul huye gark e aab e shabnam may
Daikh us sahib e haya ki adaa
Ai quot;wali quot; dard e sar ki daru hai
Mujh ko us sandli qaba ki adaa
339 Total read