Waheed Akhtar

Barq] (12 August 1934 - 13 December 1996 / Aurangabad / India

Khalifatahun Fil Arz

Ya khuda-e-Zul Jalaal

Khaliq-e-maujood-o-na-maujood, zaat-e-La-yizaal

Arsh-o-kursi, salsabeel-o-kausar-o-lauh-o-qalam tera jamaal

Jinn-o-naas, Iblees-o-Jibraeel-o-malaik teri qudrat ka kamaal

Jannat-e-mauood-o-jalwahhai na mash-hood ke pahloo raqs karta khak ka nanha sa zarra yeh zameen

Tu ne is zarre ko dee hai arsh-o-kursi ki bulandi asmaan ki wusa'atein

Tu ne Aadam mein mujassam kar diye apne kamaalaat-o-sifaat

Az karaan ta be-karaan pheli khalaaon mein banaya khaak ke putle ko tasweer-e-hayaat

Dee use takhleeq-o-azaadi pe qudrat ruh ko uski banaya sho'la-e-irfan-e-nafs-o-kaai'naat

Adl-o-si dq-o-haq ka hai ma'yaar yeh mahdood zaat

Ek nanha sa sharara aur us per kul khudaai' ka hai baar

Ek wajood aur usko halqe main liye hai har taraf se zulmaton ka bahar-e-na-paida kinaar

Nur mub-ham aur zulmat aashkaar

Zindagi majboor aur marg-o-adam ba-ikhtiyaar

Yeh amaanatdaar-e-takhleeq aadmi

Ya adm, zulmaat aur andhee khala

Kaun hai na'ib Tera

Mere Khuda?

Ghair maujoodat per hai mushtamil yeh kaai'naat

Tamtaraaq-e-nuqra-o-zar, la'al-o-gauhar ka sabaat

Tashnagee ka regzaar, aasuda kaamee ki faraat

Khwahishon ke dasht-o-sahraa, aarzoo ki kaai'naat

Hasraton ke sard laashey, justuju ke garm haat

Jism ke masroof din aur rooh ki be-chain raat

Darmiyaan mein waqt ka kuchh faslaa rakh lo to sab na-bood hain

Shama' bujh jaye to yeh saare manaazir halqahhai dood hain

Hast per na-bood haakim

Waaqa'ee per waham-e-na-maujood hakim

Aadmi ya aadmi ki shakl ke na-bood-o-na-maujood halqahhai dood

Kaun hai naayab tera

Mere Khuda?

Laa-o-lashkar, tabl-o-aurang-o-alam, naqqare hajib choobdaar

Bum, missile, aasmani lab, rocket aur khalaaee shahsawaar

Qahat-o-sailaab-o-waba, ghusse se shaq hoti zameen, aatish ba seenah-e-kohsaar

Khurdani na-khurdani ajnaas ke masrooqah godaam

Zulm-o-istehsaal-o-milkeeyat ke hafiz shara'-o-dastoor-o-qawaneen-e-tashadud aashkar

Qatil aur saariq ke khanazaad hain nazm-o-nasq ke ikhtiyaar

Mazhar-e-shaan-e-khudawandee ki hain majbooriyaan na-deedani, na-guftani

Faaqaah-o-beemaari-o-iflaas ke raunde huey insaan chichaurhi haddiyon ke waastey

Bhaunktey ek doosre per, nochte ek doosre ki botiyaan

Mahnat-o-imaandaari hai sag-e-shahr-e-hawas

Aadmi ya aadmi per hukmraan qanoon ka zaalim hisaar

Kaun na'ib hai Tera

Mere Khudaa?

Har taraf aadmi hain baalishtiyon ki bastiyaan

Baans ki tango pe chalti qadd-e-aadam pastiyaan

Baunepan ki hain talaafi oonchee oonchee kursiyaan

Pahlu'on mein zewaron se soney chaandi ki lade na-mardumee ki daastaan

Masnad-e-kam khwaab-o-deeba per saji kaldaar aankhon ki nachaati putliyaan

Karhkarhaatey kaghzon aur chamchamaatee dhaat ke rangeen khiloney ke liye kilkaariyaan

Shahr main baalishtiyon ke sar ba-zanoo aur kamar se hain khameeda aadmi

Sar utha kar gar khadaa ho jaye pooraa aadmi

Adl ki masnad bichhaa kar, kamtaree ki girha ko meezan banaa kar

Hukm denge qatl ka balishtiye

Aadmi ya aadmi ki shakl ke baalishtiye

Kaun na'ib hai Tera

Merey Khuda?

Ya Khuda-e-zul-jalaal

Jannat-e-mau'ood tere barish-e-anwaar rooyat ka Jamaal

Teri is maujood duniya mein hai na-bood hukm

Zulm-o-istehsaal ka qanoon hakim

Aadmi per aadmi ke shakl ke baalishtiye hain hukmraan

Kya teri mau'ood jannat mein bhi hai na-bood ke andhe qawaneen

Aur insaan shakl baunon ka muqaam?

Kya hamein hoga wahan bhi sirf apne khoon-e-dil per ikhtiyaar?

Kya wahan bhi karna hoga, hamko har lamhah sawaal

Kaun na'ib hai Tera

Mere Khuda?
159 Total read