Thanshu Guliani

Tajurbe likhna agar kala hai to main kalakaar hu..
Send Message

Kaash aaj phir se

Kaash aaj phir se raat na ho
Beete hue kisson ki phir se baat na ho
Na mughe koi kahani yaad aaye
Na hi mere lie koi radio chalaye
Kash ke wo khat mughe dikhe hi na
Kaash mere baare me wo likhe hi na
Agar maangni pade to kabhi mulakaat na ho..
Kaash aaj phir se raat na ho

Kaash ke main maa se lipat kar ek baar ro pau
Kaash uske aanchal me sar rakh kar ek baar phir so pau
Kaash ke phir se papa mughe hasate rahe
Main rooth jau aur dada dadi mughe manate rahe..
Kaash ke wo din laut kar aaye aur mughe aabhaas na ho
Kash ke aaj phir se raat na ho..

Kaash wo galiyan abhi bhi badli na ho...
Marammat chal rahi hai moholle ki..?
Kaash meri gali agli na ho
Kaash us kone wale toote makan me bittoo aaj bhi mughe chupa hua mile
Kehta tha "mummy ghana peetegi bhai tu bs yaha te na hile"
Kaash ke mandir wale park me hum phir se baith paye
Papa ke phone me kisne kitni game kheli is baat par ek baar phir aith paye
Aur ye sab kar ke jo mile.. Wo jhoote jazbaat na ho...
Kaash aaj phir se raat na ho..!
Mere sehme se dil par... Itni yaadon ki barsaat na ho...
Ye raat ghana tang kare se bittoo...
Kash aaj phir se raat na ho..!
406 Total read