Abhii marane kii baat kahaan
Abhii to hoon main band kalii
Bhaunre ne ghoonghaT khola hii nahiin
Mridu jal se nahalaayaa hii nahiin
Jiivan parikramaa purii huii kahaan
Abhii marane kii baat kahaan
UThate sooraj ko dekhaa hii nahiin
Chandanii mein nahayaa hii nahiin
Aakaankshaayen merii banhon ko thaamii hii nahiin
Dharaa se dhairya siikhii hii nahiin
Sundarataa angon se lipaTii kahaan
Abhii marane kii baat kahaan
Abhii Daalii par komal Patte bhate nahiin
Paudhe jamiin ko jad se jakade nahiin
Saurabh sugandh kaa vyapaarii
Bhaunraa abhii tak pahunchaa kahaan
Abhii marane kii baat kahaan
Gulashan men bahaar aaii nahiin
Champaa kii kataar sajii nahiin
Maulasirii kii chhanw mein baiThii nahiin
Matawaalii koyal ko amuaa kii
Daalii par pii-pii pukaarate sunii kahaan
Abhii marane kii baat kahaan
Siine se lagaakar hawaa ne dularayaa nahiin
Pushhp, pushhp ko pahachaanaa nahiin
Abhii to hoon, main ek band kalii
Mere vikasit roop ko baag kaa
Maalii ne dekhaa kahaan
Abhii marane kii baat kahaan