Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se
chehre tamaam lagne lage haiN ajeeb se
is rengati hayaat kaa kab tak uThaayeiN baar
beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb se
har gaam par hai majamaa-e-ushshaaq muntazir
maqtal ki raah milti hai kuu-e-habeeb se
is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath
jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb se
ai rooh-e-asar jaag, kahaaN so rahi hai tu
aawaaz de rahe haiN payambar saleeb se