Sahir Ludhianvi

8 March 1921 - 25 October 1980 / Faisalabad, Punjab / India

Bhool sakta hai bhalaa kaun ye pyaari aaNkheiN

Bhool saktaa hai bhalaa kaun ye pyaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobi huii neeNd se bhaarii aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun …

meri har sos ne har soch ne chaahaa hai tumheIN
jab se dekhaa hai tumheiN tab se saraahaa hai tumheIN
bas gayii haiN mirii aaNkhoN meiN tumhaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii huii, neeNd se bhaari aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun …

tum jo nazaroN ko uThaao to sitaare jhuk jaayeiN
tum jo palkoN ko jhukaao to zamaane ruk jaayeiN
kyuN na ban jaayeiN in aaNkhoN kii pujaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii huii, neeNd se bhaari aaNkheiN
bhool saktaa hai bhala kaun …

jaagati raatoN ko sapnoN ka Khazaanaa mil jaaye
tum jo mil jaao to jeene ka bahaanaa mil jaaye
apnii qismat pe kare naaz hamaarii aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa kaun ye pyaarii aaNkheiN
raNg meiN Doobii hui neeNd se bhaarii aaNkheiN
bhool saktaa hai bhalaa …
110 Total read