saathiyo! maiNe barsoN tumhaare liye
chaaNd, taaroN, bahaaroN ke sapne bune
husn aur ishq ke geet gaataa rahaa
aarzoo_oN ke aivaaN sajaataa rahaa
maiN tumhaaraa muGhannii, tumhaare liye
jab bhi aayaa naye geet laataa rahaa
aaj lekin mire daaman-e-chaak meiN
gard-e-raah-e-safar ke sivaa kuchh nahiiN
mere barbat ke seene meiN naGhmoN ka dam ghut gayaa hai
taaneN cheeKhoN ke anbaar meiN dab gayii haiN
aur geetoN ke sur hichkiyaaN ban gaye haiN
maiN tumhaaraa muGhannii huuN, naGhmaa nahiiN houN
aur naGhme kii taKhleeq kaa saazo-saamaaN
saathiyo! aaj tumne bhasm kar diyaa hai
aur maiN — apnaa TooTaa huaa saaz thaame
sard laashoN ke anbaar ko tak rahaa houN
mere chaaroN taraf maut ki vahshateiN naachtii haiN
aur insaan kii haivaaniyat jaag uThii hai
barbriyat ke KhunKh(w)aar afreet
apne naapaak jabRoN ko khole
Khoon pee pee ke Ghurra rahe haiN
bachche maaoN ki gotoN meiN sahme hue haiN
ismateiN sar-barhanaa pareshaan haiN
har taraf shor-e-aaho-bukaa hai
aur maiN is tabaahii ke tuufaan meiN
aag aur Khoon ke haijaan meiN
sarnigouN aur shikastaa makaanoN ke malbe se pur raastoN par
apne naghmoN ki jholi pasaare
dar-ba-dar phir rahaa houN -
mujhko amn aur tahzeeb kii bheek do
mere geetoN ki lay, mere sur, meri nai
mere majrooH hoToN ko phir sauNp do
saathiyo! maiN barsoN tumhaare liye
inqilaab aur bGhaawat ke naGhme alaape
ajnabii raaj ke zulm kii chaaNv meiN
sarfaroshii ke Khwaabeeda jazbe ubhaare
is subah kii raah dekhi
jismeiN is mulk ki ruuh aazaad ho
aaj zanjeer-e-mahkoomiyat kaT chuki hai
aur is mulk ke bahro-bar, baamo-dar
ajnabi qaum ke zulmat-afshaaN farere kii manhoos chaaNv se aazaad haiN
khet sona ugalne ko bechain haiN
vaadiyaaN lahlahaane ko betaab haiN
kohsaaroN ke seene meiN haijaan haiN
saNg aur Khisht beKhwaab-o-bedaar haiN
inkii aaNkhoN meiN ta'ameer ke Khwaab haiN
inke KhwaaboN ko takmeel ka roop do
mulk kii vaadiyaaN, ghaaTiyaaN, khetiyaaN, aurateiN, bachchiyaaN -
haath phailaaye Khairaat ki muntazir haiN
iinko amn aur tahzeeb kii bheek do
maaoN ko unke hoNToN ki shaadaabiyaaN
nanhe bachchoN ko unko Khushi baKhsh do
mere sur baKhsh do, meri nai baKhsh do
aaj saari fazaa bhikaari hai
aur maiN is bhikaari fazaa meiN
apne naGhmoN ki jholi pasaare
dar-ba-dar phir rahaa houN
mujhko phir mera khoyaa huaa saaz do
maiN tumhaaraa muGhannii tumhaare liye
jab bhi aaya, naye geet laataa rahouNgaa
(1947)