Rahat Indori

01 January 1950 / Indore, Madhya Pradesh / India

Shahar May Dhund Raha Hun Ke Sahara De De

Shahar may dhund raha hun ke sahara de de
Koi hatim jo mere hath may kasa de de

Per sab nange faqiron ki tarah sahame hain
Kis se ummid ye ki jaye ki saya de de

Waqt ki sangzani noch gai sare naqush
Ab wo aina kahan jo mera chehara de de

Dushmanon ki bhi koi bat to sach ho jaye
A mere dost kisi din mujhe dhoka de de

Main bahut jald hi ghar laut ke a jaunga
Meri tanhai yahan kuch dinon pehara de de

Dub jana hi muqadar hai to behatar warana
Tune patawar jo chini hai to tinka de de

Jis ne qataron ka bhi mohataj kiya mujh ko
Wo agar josh may a jaye to dariya de de

Tum ko quot;rahat quot; ki tabiyat ka nahi andaza
Wo bikhari hai magar mango to duniya de de
178 Total read