Pratik Shaw

May 22,2002 - Kolkata, India
Send Message

Baate aur Neend

Raat raat bhar baate do log karte hai,
Par neend teen logo ko nahi aati,

Do logo ko to raat ke andhere me ek dusre ka sahara mil jaata hai,
Teesre ko tanhayi aur akelepan ka ehsas hota hai,

Pyaar muqamal do logo ka hota hai,
Teesra sirf dua karta hai,

Kyuki bebaak pyaar to usne bhi ki hai,
Aur bhagwan uski ye kaamna puri jarur karega...

Khulke baat do log karte hai,
Jhijhak kar baat sirf teesra karta hai,

Kyuki sayad wo apne dil ki baat batane se ghabrata hai,
Baki dono bejhijhak apni baate bol kar soo jaate hai,

Un dono ko gussa aata hai ,
Jab unke dusre ke bare me kuch galat kaha jaye,
Par teesre ka to khoon jal jaata hai,

Sukoon sirf do logo ko aata hai,
Teesre ko bas junoon tadpata hai,

Kyuki jinhe dua me mangi hui chiz mil jaati hai,
Unke yaha to phool khilte hai,
Par jinki dua muqamal nahi hui,
Wo kaato ke beech rehar kar, har dum marte hai..

Wo do to sirf ek dusre ke khayal me aate hai,
Teesre ke to khayal aur khwab dono hi bhar jaate hai,

Har din chehre par khushi lekar do log chalte hai,
Teesra sirf jhuthi muskan aur toota  dil lekar baitha rehta hai,

Khuda to sukriya do log karte hai,
Teesra aankho ke aansu takiye par pochta hai,

Ek dusri ki sehat ke liye teen log prathna karte hai,
Uska fayda do logo ko hota hai,

Kyuki teesre ki sehat ke liye sochne wala,
Dono me se koi nahi,

Pyaar do log bat'te hai,
Teesra sirf pyaar karta hai,

Pyaar bhari baate teen log sunna chahte hai,
Sunte bas do log hai,

Raat raat bhar baate do log karte hai,
Par neend teen logo ko nahi aati....

Raat raat bhar baate do log karte hai,
Par neend teen logo ko nahi aati......
393 Total read