ik saza aur asiron ko suna di jaye
yani ab jurm-e-asire ki saza di jaye
uski khwahish hai k ab log na roen na hansen
behisi waqt ki awaz bana di jaye
dasht-e-nadida ki tahqiq zaruri hai magar
pahle jo ag lagi hai wo bujha di jaye
sirf jalna hi nahin hamko bharakna bhi to hai
ishq ki ag ko lazim hai hawa di jaye
sirf suraj ka nikalna hai agar subah to phir
ik shab aur meri shab se mila di jaye
aur ik taza sitam usne kiya ijad
usko is bar zara khul ke dua di jaye