ham se bahal rahe hain ap ap bahut ajib hain
dard main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain
saya-e-wasl kab se hai ap ka muntazir magar
hijr main dhal rahe hain ap ap bahut ajib hain
apne khilaf faisla khud hi likha hai ap ne
hath bhi mal rahe hain ap ap bahut ajib hain
waqt ne arazu ki lau der hui bujha bhi di
ab bhi pighal rahe hain ap ap bahut ajib hain
zahmat-e-zarbat-e-digar dost ko dijiye nahin
gir k sambhal rahe hain ap ap bahut ajib hain
dayarawar hi to hain ishq ke raste tamam
rah badal rahe hain ap ap bahut ajib hain
dasht ki sari raunaqen khair se ghar main hain to kyun
ghar se nikal rahe hain ap ap bahut ajib hain
apni talash ka safar khatm bhi kijiye kabhi
khwab main chal rahe hain ap ap bahut ajib hain