ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai
phir wahi subah ayegi phir wahi sham a gai
mere lahu main jal uthe utne hi taza dam chirag
waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai
main bhi ba-pas-e-dostan apne khilaf ho gaya
ab yahi rasm-e-dosti mujhko bhi ras a gai
tund hawa k jashn main log gaye to the magar
tan se koi qaba chini sar se koi rida gai
dil-zadgan k qafile dur nikal chuke tamam
un ki talash main nigah ab jo gai to kya gai
akhir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan
ek hi ah-e-sard thi sare diye bujha gai