bedili se hansne ko khush-dili na samjha jaye
gam se jalte chehre ko raushni na samjha jaye
gaha gaha wahshat main ghar ki simt jata hun
isko dasht-e-hairat se wapsi na samjha jaye
lakh khushguman duniya bahimi talluq ko
dosti kahen lekin dosti na samjha jaye
ham to bas ye kahte hain roz jine marne ko
ap chahen kuch samjhen zindagi na samjha jaye
khak karne walon ki kya ajib khwahish thi
khak hone walon ko khak hi na samjha jaye