Parveen Shakir

24 November 1952 - 26 December 1994 / Karachi / Pakistan

Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam..

Khiyaal-o-Khawab Howa Barg-o-Baar Ka Mosam
Bechar Giya Teri Soorat, Bahaar Ka Mosam,
Kai Rotun Se Mere Neem Waa Dareechon Mein
Ther Giya Hai Tere Intezaar Ka Mosam,
Woh Narm Lehje Mein Kuch To kahe K Laot Aaye
Samaa'aton Ki Zameen Par Bahaar Ka Mosam,
Payaam Aaya Hai Pher Ek Saro Qamat ka
Mere Wajood Ko Khenche Hai Daar ka Mosam,
Woh Aag Hai K Meri Poor Poore Jalti Hai
Mere Badan Ko Mila Hai Chanaar Ka Mosam,
Rafaqaton Kay Nai Khawab Khushnuma Hain Magar
Guzar Chuka Hai Tere Etbaar Ka Mosam,
Hawaa Chali To nai Baarishen Bhi Saath Aaien
Zameen Kay Chehre Pe Aaya Hai Nikhaar Ka Mosam,
Woh Mera Naam Liye Jaaye Aur Main Us Ka Naam
Lahu Mein Goojh Raha Hai Pukaar Ka Mosam,
Qadam Rakhe Meri Khusbu K Ghar Ko Laota Aaye
Koi Bataaye Mujhe Kowe Yaar Ka Mosam,
Woh Roz Aake Mujeh Apna Piyaar Pehnaye
Nera Garoor Hai Bele Kay Haar Ka Mosam
Tere Tareeq-e-Muhabbat Pe Baar Haa Socha
Yeh Jabar Tha Kay Tere Ikhtiyaar Ka Mosam.
106 Total read