Nigaar e Subah ke Umeed mein Pighaltay Howay
Chiragh Khud ko nahi daikhta hai Jaltay Howay
Yeh Rooh Khinchti Chali jaa rahi hai kiss ki taraf
Yeah paooon kiyon nahi tahktay humaray chaltay howay
Ussi kay naam ki khushboo say sans chalti rahay
Ussay ka naam zubaan pay hoo dam nikaltay howay
Khayaal o Khaab a kaya kaya na silslay niklay
Chiragh Chaltay howay Aftaab dhaltay howay
Andhairay hein yahaan souraj kay naap par roshan
Ujanloon say yahaan daikhtay hein loag jaltay howay
Utaar un mein koi apni roshni yaa rab
Keh loag thak gai hein zulmat say aab behlatay howay
Woh aa rahay heinzamanay keh tum bhi daikhoo gai
Khuda kay haath sayinsaan ko badaltay howay
Woh subah hoo gi tufiroon phir na guzrain gai
Diloon ko rondtay insaan ko masaltay howay