door se aaye the saaqi sun ke maikhaane ko ham
bas tarasate hi chale afasos paimaane ko ham
may bhi hai minaa bhi hai saagar bhi hai saaqi nahin
dil main aataa hai lagaa den aag maikhaane ko ham
ham ko fasanaa thaa qafaz me.n kyaa gilaa sayyaad kaa
bas tarasate hi rahe hain aab aur daane ko ham
baagh main lagtaa nahin sahraa main ghabrataa hai dil
ab kahaan le jaake baithen aise deevaane ko ham
kyaa hui taqasee ham se too bataa de ai 'Nazeer'
taaki shaadi marg samajhen aise mar jaane ko ham