Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Zaban Sukhan Ko, Sukhan Bankpan Ko Tarsega

zaban sukhan ko, sukhan bankpan ko tarsega
sukhankada meri tarz-e-sukhan ko tarsega

naye pyale sahi tere daur main saqi
ye daur meri sharab-e-kohan ko tarsega

mujhe to khair watan chor k aman na mili
watan bhi mujh se garib-ul-watan ko tarsega

unhin k dam se farozan hain millaton k charag
zamana sohbat-e-arbab-e-fan ko tarsega

badal sako to badal do ye bagban warna
ye bag saya-e-sard-o-saman ko tarsega

hawa-e-zulm yahi hai to dekhna ek din
zamin pani ko suraj kiran ko tarsega
86 Total read