Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

yaas meN jab kabhii aaNsuu niklaa

yaas meN jab kabhii aaNsuu niklaa
ek nayii aas kaa pahluu niklaa

(yaas : despair, despondency; aas : hope; pahluu : facet)

le uRii sabza-e-Khuudruu (?) ki mahek
phir terii yaad kaa pahluu niklaa

(Not sure about this one, hopefully one of the readers would help !)

miiThii bolii meN papiihe bole
gungunaataa hu'aa jab tuu niklaa

(miiThii : sweet; papiihe : cuckoos)

aayiiN saavan kii andherii raateN
kahiiN taaraa, kahiiN jugnuu niklaa

(saavan : rainy season; taaraa : star)

naye mazmuun sujhaatii hai sabaa
kyaa idhar se vo mushk-buu niklaa

(mazmuun : topics; sabaa : morning breeze; mushk-buu : smelling like musk)

paaNv chhilne lagii jaltii hu'ii ret
dasht se jab ko'ii aahuu niklaa

(chhilna : to cause injury; dasht : forest, desert)

ka'ii din raat safar meN guzre
aaj to chaaNd lab-e-juu niklaa

(lab-e-juu : brink of the river)

taaq-e-maiKhaanaa meN chaahii thii amaaN
vo bhii teraa Kham-e-abruu niklaa

(taaq-e-maiKhaanaa : recess of a tavern; amaaN : protection; Kham-e-abruu : twists of eye-brows)

ahl-e-dil sair-e-chaman se bhii gaye
aks-e-gul saayaa-e-gesuu niklaa

(ahl-e-dil : people with heart; sair-e-chaman : visit to the garden; aks-e-gul : reflection of a flower; saayaa-e-gesuu : shadow of the tresses)

vaaqiyaa ye hai ke badnaam hu'e
baat itnii thii ke aaNsuu niklaa

(vaaqiyaa : event)
97 Total read