tere milne ko bekal ho gaye hain
magar ye log pagal ho gaye hain
baharen lek aye the jahan tum
wo ghar sunsan jangal ho gaye hain
yahan tak barh gaye alam-e-hasti
k dil k hausale shal ho gaye hain
kahan tak tab laye natawan dil
k sadme ab musalsal ho gaye hain
nigah-e-yas ko nind a rahi hai
musarda purashk bojhal ho gaye hain
unhen sadiyon na bhulega zamana
yahan jo hadse kal ho gaye hain
jinhen ham dekh kar jite the 'Nasir'
wo log ankhon se ojhal ho gaye hain