Safar-e-Manzil-e-Shab Yaad Nahi
Loog Rukhsat Huye Kab Yaad Nahi
Awwaleen Qurb Ki Sarshaari Mein
Kitnay Armaan Thay Jawaab Yaad Nahi
Dil Main Har Waqt Chubhan Rehti Thi
Thi Mujhe Kis Ki Talab Yaad Nahi
Wo Sitaara Thi K Shabnam Thi k Phool
Ik Soorat Thi Ajab Yaad Nahi
Kaisi Veeraan Hai Guzargaah-e-Khayaal
Jub Se Wo Aariz-o-Lab Yaad Nahi
Bhooltay Jaatay Hain Maazi Ke Dayaar
Yaad Aayein Bhi TOu Sub Yaad Nahi
Aisa Uljha Hun Gham-e-Duniya Main
Ek Bhi Khwaab-e-Tarb Yaad Nahi
Rishta-e-Jaan Tha Kubhi Jis Ka Khayaal
Oski Soorat Bhi Tou Ab Yaad Nahi
Ye Haqiqat Hai K Ehbaab Ko Ham
Yaad Hee Kab Thay Jo Ab Yaad Nahi
Yaad Hai Sair-e-Charaaghan 'Nasir'
Dil k Bujhne Ka Sabab Yaad Nahi