Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Phir Sawan Rut Ki Pawan Chali Tum Yad Aye

phir sawan rut ki pawan chali tum yad aye
phir patton ki pazeb baji tum yad aye

phir kunjen bolin ghas k hare samandar main
rut ai pile phulon ki tum yad aye

phir kaga bola ghar k sune angan main
phir amrat ras ki bund pari tum yad aye

pahle to main chikh k roya aur phir hansne laga
badal garja bijli chamaki tum yad aye

din bhar to main duniya k dhandhon main khoya raha
jab diwaron se dhup dhali tum yad aye
99 Total read