niyat-e-shauq bhar na jaye kahin
tu bhi dil se utar na jaye kahin
aj dekha hai tujhe der k bad
aj ka din guzar na jaye kahin
na mila kar udas logon se
husn tera bikhar na jaye kahin
arzu hai k tu yahan aye
aur phir umr bhar na jaye kahin
ji jalata hun aur ye sochta hun
rayegan ye hunar na jaye kahin
ao kuch der ro hi len 'Nasir'
phir ye dariya utar na jaye kahin