Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Kuch Yadgar E Shahar E Sitamgar Hi Le Chalen

Kuch yadgar-e-shahar-e-sitamgar hi le chalen
Aye hain is gali main to pathar hi le chalen

Yun kis tarah katega kari dhup ka safar
Sar par khayal-e-yar ki chadar hi le chalen

Ranj-e-safar ki koi nishani to pas ho
Thori si khak-e-kucha-e-dilbar hi le chalen

Ye kah k cherti hai hamain dilgiraftagi
Ghabra gaye hain ap to bahar hi le chalen

Is shahar-e-becharag main jayegi tu kahan
A ai shab-e-firaq tujhe ghar hi le chalen
121 Total read