Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Ko'ii jiye yaa ko'ii mare

ko'ii jiye yaa ko'ii mare
tum apnii sii kar guzre

dil meN terii yaadoN ne
kaise kaise rang bhare

ab vo umangeN hain na vo dil
kaun tujhko yaad kare

pyaar kii riit niraalii hai
ko'ii kare aur ko'ii bhare

phuul to kyaa, kaaNTe bhii nahiiN
kaise ujRe baag hare

(baag : garden; hare : green)

baadal girjaa pavan chalii
phulvaarii meN phuul Dare

(pavan : wind)

patjhaR aane valii hai
ras pii kar uR jaa bhaNvre
98 Total read