Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Kisi Kali Ne Bhi Dekha Na Ankh Bhar K Mujhe

Kisi kali ne bhi dekha na ankh bhar k mujhe
Guzar gai jars-e-gul udas kar k mujhe

Main so raha tha kisi yad k shabistan main
Jaga k chor gaye qafile shahar k mujhe

Main ro raha tha muqaddar ki sakht rahon main
Ura k le gaya jadu teri nazar ka mujhe

Main teri dard ki tugyaniyon main dub gaya
Pukarte rahe tare ubhar ubhar k mujhe

Tere firaq ki raten kabhi na bhulengi
Maze mile inhin raton main umr bhar k mujhe

Zara si der thaharne de ai gam-e-duniya
Bula raha hai koi bam se utar k mujhe

Phir aj ai thi ik mauj-e-hawa-e-tarab
Suna gai hai fasane idhar-udhar k mujhe
151 Total read