dil main ik lahar si uthi hai abhi
koi taza hawa chali hai abhi
shor barpa hai khana-e-dil main
koi diwar si giri hai abhi
kuch to nazuk mizaj hain ham bhi
aur ye chot bhi nai hai abhi
bhari duniya main ji nahi lagta
jane kis chiz ki kami hai abhi
tu sharik-e-sukhan nahi hai to kya
ham-sukhan teri khamoshi hai abhi
yad k be-nishan jaziron se
teri awaz a rahi hai abhi
shahar k becharag galiyon main
zindagi tujh ko dhundti hai abhi
so gaye log us haweli k
ek khirki magar khuli hai abhi
tum to yaro abhi se uth baithe
shahar main rat jagti hai abhi
waqt acha bhi ayega 'Nasir'
gam na kar zindagi pari hai abhi