dayar-e-dil ki rat main chirag sa jala gaya
mila nahi to kya hua wo shaql to dikha gaya
judaion k zakhm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind a gai mujhe bhi sabr a gaya
ye subah ki safediyan ye dopahar ki zardiyan
ab aine main dekhta hun main kahan chala gaya
pukarti hain fursaten kahan gai wo sohbaten
zamin nigal gai unhen ya asman kha gaya
wo dosti to khair ab nasib-e-dushmanan hui
wo choti choti ranjishon ka lutf bhi chala gaya
ye kis khushi ki ret par gamon ko nind a gai
wo lahar kis taraf gai ye main kahan sama gaya
gaye dinon ki lash par pare rahoge kab talak
utho amalkasho utho k afatab sar pe a gaya