Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate

Dard kam hone laga aao ke kuch raat kate
Gham ki miaad badha jaao ke kuch raat kate

Hijr mein aah-o-baka sa kuhan hai lekin
Aaj yeh rasm hi dohrao ke kuch raat kate

Yun to tum roshni qalb-o-nazar ho lekin
Aaj who mojezah dikhlao ke kuch raat kate

Dil dukhaata hai who milkar bhi magar aaj ki raat
Usi be-dard ko le aao ke kuch raat kate

Dam ghuta jaata hai afsurda dili se yaaro
Koi afvah hi phailao ke kuch raat kate

Main bhi bekaar hun aur tum bhi ho viran bahot
Doston aaj na ghar jaao ke kuch raat kate

Chod aaye ho sarshaar use kyun NAASIR
Use phir ghar se bula lao ke kuch raat kate
126 Total read