Nasir Kazmi

8 December 1925 - 2 March 1972 / Ambala / British India

Aj to be-sabab udas hai ji

aj to be-sabab udas hai ji
ishq hota to koi bat bhi thi

jalta phirta hun kyun do-pahron main
jane kya chiz kho gai meri

wahin phirta hun main bhi khak ba-sar
is bhare shahar main hai ek gali

chupta phirta hai ishq duniya se
phailti ja rahi hai ruswai

hamnashin kya kahun k wo kya hai
chor ye bat nind urane lagi

aj to wo bhi kuch khamosh sa tha
main ne bhi us se koi bat na ki

ek dam us k hath chum liye
ye mujhe baithe baithe kya sujhi

tu jo itna udas hai 'Nasir'
tujhe kya ho gaya bata to sahi
80 Total read