Zindagi khinch gayi mujh se tere aabroo ki tarha
apney he khoon ka pyasa hon lab jou_n ki tarha
Woh sitara jo mere naam se mansoob hua
deda-e-shab main ek aakhri aansoo ki tarha
Shola-e-Soz daro'n sard hawa jata hay
koi samjhaye saba ko k chale Loo ki tarha
Koi dewana uthey khaak uraney k liye
aaj bhe dasht hain phailey hue bazuu ki tarha
iss bhare shaher main karta hon hawa se batain
Paao'n parta hay zameen per mera aaho ki tarha
Shabnami haath barhaao k khule darwaza
bin khile phool k zinda'n main hon khoushboo ki tarha
chahatey hain jo Muzaffar gham-e-hasti se faraar
beth jayen jo garha khod k sadho ki tarha