zakhm-e-tanhai main khushbu-e-hina kis ki thi
saya diwar pe mera tha sada kis ki thi
uski raftar se lipti rahi meri ankhen
us ne mur kar bhi na dekha k wafa kis ki thi
waqt ki tarah dabe panw ye kaun aya hai
main andhera jise samjha wo qaba kis ki thi
ansuon se hi sahi bhar gaya daman mera
hath to main ne uthaye the dua kis ki thi
meri ahon ki zaban koi samajhta kaise
zindagi itni dukhi mere siwa kis ki thi
ag se dosti us ki thi jala ghar mera
di gai kis ko saza aur khata kis ki thi
main ne binaiyan bo kar bhi andhere kate
kis k bas main thi zamin abr-o-hawa kis ki thi
chor di kis liye tu ne "Muzaffar" duniya
justaju si tujhe har waqt bata kis ki thi