lab-e-Khaamosh se izhaar-e-tamannaa chaahe
baat karane ko bhii tasviir kaa lahajaa chaahe
tu chale saath to aahaT bhii na aaye apanii
daramiyaaN ham bhii na ho yuuN tujhe tanhaa chaahe
zaahiirii aaNkhon se kyaa dekh sakegaa koii
apane baaton pe bhii ham faash honaa chaahe
jism-poshii ko mile chaadar-e-aflaak hamen
sar chhupaane ke liye vusa'at -e-seharaa chaahe
Khvaab mein roye to ehasaas ho sairaabii kaa
ret par soyen magar aaNkh mein dariyaa chaahe
bheNT char jaauuN na main apane hii Khair-o-shar kii
Khuun-e-dil zabt kare zaKhm tamaashaa chaahe
zindagii aaNkh se ojhal ho magar Khatm na ho
ek jahaaN aur pas-e-pardaa-e-duniyaa chaahe
aaj kaa din to chalo kaT hii gayaa jaise bhii kaTaa
ab Khudaa-band se Khairiyat-e-fardaa chaahe
aise tairaak bhii dekhe hain 'Muzaffar' hamane
Garq hone ke liye bhii jo saharaa chaahe