Jee behelta he nahi saans ki jhankaro'n se
Phoor lon sar na kahen jism ki dewaaro'n se
apne raste hue zakhmo'n pe chirak leta hon
raakh jharti hay jo ehsaas k angaro'n se
Geet gaao'n tou lapak jate haib Sholey dil main
saaz chairo'n tou nikalta hay dhuwa'n taaro'n se
youn tou karte hain sabhi ishq ki rasmain poori
doodh ki nahher nikale koi kohsaro'n se
Zinda lashain bhe dukaon main saji hain shayad
Booye Khoo'n aati hai khulte hue bazaro'n se
kiya mere aks main chup jayen ge unn k chehhrey
itna poochey koi in aaina bardao'n se
pyaar her chand chalakta hay in aankho'n se magar
zakham bhartey hain Muzaffar kabhe talwaro'n se