AAg se sairab dasht-e-Zindgani ho gaya
Shola-e-dil aankh main aaya tou pani ho gaya
Dard seeney main utha maathe pe shiknain par gayen
rang chehrey ka sadaaye be zubani ho gaya
Teri aankhain aaina hathon main le ker aa gayen
ro baroo ho ker main tere apna sani ho gaya
jab bharak utha tha tere Qurb se mera badan
naam in hasaas lamho'n ka jawani ho gaya
kar diya tha main ne jo awara patto'n per raqam
Raaz woh ruswa hawaa'n ki zubani ho gaya
aik unmit roshni thi arsh ki mehrab per
aadmi k roop main aaker main fani ho gaya
jin k seeno main muzaffar tha, muzaffar mera dil
aaj main in k liye bhooli kahani ho gaya