Aadmi Chonk Chuka hai magar utha tou nahi
main jisey dhoondh raha hon yeh woh dunya tou nahi
Rooh se dara mila, dard se aankhain na mili_n
Tujh ko mehsoos kiya hay, tujhay dekha tou nahi
Rang si shakal mili hay tujhay khoushboo ka mizaj
lala o gul kahen tera he sarapa tou nahi
Chehera dekhon tou khadokhal badal jate hain
Chup k aainey k peechey koi betha tou nahi
Phaink ker maar zamee_n per na zamaney! mujh ko
toot he jaaonga jesey main khilona tou nahi
Zindagi, tujh se her ek saans pe samjhota karon
shoq jeeney ka hay mujh ko magar itna bhe nahi
Meri aankhon main tere naqsh-e-Qadam kesey hain
iss saraa_ye main musafir koi tehra tou nahi
Sochtey sochtey dil doobney lagta hay mera
Zehen ki teh main muzaffar koi Darya tou nahi