us simt mujh ko yar ne jane nahin diya
ek aur shahar-e-yar main ane nahin diya
kuch aur waqt chahte the k sochen tere liye
tune wo waqt ham ko zamane nahin diya
manzil hai is mahak ki kahan kis chaman main hai
is ka pata safar main hawa ne nahin diya
roka ana ne kawish-e-besud se mujhe
us but ko apna hal sunane nahin diya
hai jis k bad ahad-e-zawal-ashna 'Munir'
itna kamal ham ko Khuda ne nahin diya