phul the badal bhi tha aur wo hasin surat bhi thi
dil main lekin aur hi ek shaql ki hasrat bhi thi
jo hawa main ghar banaye kash koi dekhta
dasht main rahte the par tamir ki adat bhi thi
kah gaya main samne us k jo dil ka mudda
kuch to mausam bhi ajab tha kuch meri himmat bhi thi
ajnabi shahron main rahte umr sari kat gai
go zara se fasle par ghar ki har rahat bhi thi
kya qayamat hai 'Munir' ab yad bhi ate nahin
wo purane ashna jin se hamain ulfat bhi thi