Gam ki barish ne bhi tere naqsh ko dhoya nahin
tune mujh ko kho diya main ne tujhe khoya nahin
nind ka halka gulabi-sa khumar ankhon main tha
yun laga jaise wo shab ko der tak soya nahin
har taraf diwar-o-dar aur un main ankhon ka hujum
kah sak jo dil ki halat wo lab-e-goya nahin
jurm adam ne kiya aur nasl-e-adam ko saza
katta hun zindagi bhar main ne jo boya nahin
janta hun ek aise shakhs ko main bhi 'Munir'
gam se pathar ho gaya lekin kabhi roya nahin