Momin Khan Momin

1800 - 1851 / Delhi / British India

Tauba hai k ham ishq butoN kaa na karein ge

Tauba hai k ham ishq butoN kaa na karein ge
Wo karte hain ab, jo na kia thaa, na karein ge

Thehri hai k ThehraayeN ge zanjeer se dil ko
Par barhami-e-zulf ka saudaa na karein ge

Andesha-e-mizhgaaN mein agar khuN ne kia josh
Nishtar se ilaaj-e-dil-e-deewaana karein ge

Gar aarzu-e-vasl ne beemaar kia to
Parheiz karein ge pe madaavaa na karein ge

Rakh levein ge pathar magar un sang-diloN ko
CHaati se lagaane ki tamannaa na karein ge

Hai ehd k phir jaa na phirein koo-e-butaaN mein
Phir jaayeN ab is ehd se, aaisaa na karein ge

Aai hazrat-e-Momin! ye musallim jo hai irshaad
Bhoole se bhi ab zikr butoN kaa na karein ge!!

Lekin jo butoN ne bhala aap se kee baat !!
Phir aap hi farmaayeN k kyaa kyaa na karein ge!
166 Total read