shab tum jo bazm-e-Gair me.n aa.Nkhe.n churaa gaye
khoye gaye ham aise ke aGyaar paa gaye
majalis me.n us ne paan diyaa apane haath se
aGyaar sabz baKht the ham zahar khaa gaye
Gairo.n se ho vo pardaanashii.n kyo.n na behijaab
dam haay be-asar mere pardaa uThaa gaye
vaa_iz ke zikr-e-mehar-e-qayaamat ko kyaa kahuu.N
aalam shab-e-vasl ke aa.Nkho.n me.n chhaa gaye
duniyaa hii se gayaa mai.n jo nahii.n naaz se kahaa
ab bhii gumaan-e-bad na gaye tere yaa gaye
ai 'Momin' aap kab se hue ba.ndaa-e-butaa.N
baare hamaare ??? me.n hazarat bhii aa gaye