Momin Khan Momin

1800 - 1851 / Delhi / British India

khushi na ho mujhe kyonkar qaza ke aney ki

khushi na ho mujhe kyonkar qaza ke aney ki
khabar hai lash pe os be wafa ke aney ki

samajh ke aur hi kuch mar chala main ai naseh
kaha ji tu ne nahen jaan jaa ke aney ki

phir ab ke la tere qurban jaon jazb-e-dil
gaye hain yaan se wo sogand kha ke aney ki

karon main wada khilafi ka shikwa kis kis se
ajal bhi rah gaye zalim suna ke aney ki
179 Total read